Ek moti meri aankh se chalkar, tere dar pe aaya hai
Toote kaanch ke tukdo me, maine tujhko paya hai...
Ek aangan me khela tha humne, kyari apni pyari thi
Sadiyon ka tha saath hamara, phir chot jo usne mari thi...
Apno ne talwar uthayi, hahakaar ka aalam tha
Tu mera-main tera dushman, aur ghar ka apne maatam tha...
Chala gaya phir chhod mujhe tu, par jashn maine manaya tha
Aazadi to payi maine, par khoya apna saaya tha...
Saalo saal lade phir hum-tum, par dur na hum ho paye hain
Marhum bhi lagaye hain humne, aur ghaav bhi humne khaye hain...
Ek hi jaesi bhasha apni, soch bhi apni ek hi hai
Phir kyun ladne baethe hain hum-tum, jab niyat apni naek hi hai...
Ye hawa ka jhoka sarhad paar se, yaad jo teri laaya hai
Toote kaanch ke tukdo me, maine tujhko paya hai....!!!
- Amjad Ali